Bihar PM-KISAAN Samman Nidhi Online 2021
Namaskar Doston, aaj hum is post me jaanne waale hain ki bihar me naye tarike se pm kisaan samman nidhi yojana ke liye kiase apply karna hai?? to aap sabhi se nivedan hai ki is post ko pura jarur padhiyega taki aap sabhi badhiya se samajh paen ki kis tarike se pm kisan samman nidhi ke liye online naye tarike se apply karna hai…
PM KISAAN SAMMAN NIDHI KYA HAI??
Pm Kisaan Apply Kaise Kare??
Friends, pm kisaan ke liye aawedan karne ke liye sabse pahle aapko dbtagriculture.bihar.gov.in par registerd hona chahiye, tabhi aap pm kisaan bihar ke liye online aawedan kar sakte hain. Agar aap sabhi ko malum nhi hai ki kaiseĀ DBT bihar par apna registration karte hain to niche comment kar ke jarur bataiyega taki hum aapko bata sake…. jitne bhi kisaan DBT bihar par apna rtegistration kara chuke hain unka aawedan karne ke liye sabse pahle DBT bihar ke official website par jakar online aawedan kare par click kar ke apna registration number enter kar ke search button par click karna hoga jiske baad unka saara detail jaise ki name, d.o.b., fathers name, account number ifsc code, aadhar number aur mobile number show ho jaaega jiske niche kisaan se unke jamin ka vivaran puchha jaega jismen khata no, khesra no. district block aur kul jamin fill kar dena hai.
pm kisaan ke liye kon kon sa document upload karna hai??
Friends, pm kisaan karne ke liye aapko jamin ka vivaran fill karne ke baad aapse aapka jamin ka bhu swamitv praman patra manga jaaega jismen aapko lagan rasid upload karna hai, Kuchh dino pahle kuchh awedan aise bhi the jisme aawedak ke name se jamin nhi haifir bhi aawedak vanshavli aur lagan rasid ke madad se awedan kar lete the, lekin ab sarkar ke dwara kuchh sakht niyam bhi bana diye gaye hain jismen kaha gaya hai ki pm-kisaan ke liye sirf wahi log aawedan kar sakte hain jinke name se khud ka jamin ho aur aawedak kisi bhi sarkari service ka adhikari nhi hona chahiye ya fir aawedak ka koi bhi sarkari pension account nhi hona chahiye..
To ab hum aapko bata dete hain ki agar aapko aawedan karna hai to aapke paas apne jaminĀ ka lagan rasid hona chahiye jisko pdf formate men 150kb ke andar hi upload karna hai aur upload karne ke baad niche captcha fll karke send otp button par click kar lena hai,,, otp aapke mobile par chala jaaega jisko site par fill arne ka option mil jaaega jismen fill karke submit button par click kar lena hai aur ab baari hai aapka receipt print karne ka, To aap ab print button par click karenge jiske baad aapke phone ya laptop me aapka receipt pdf formate men download ho jaaega jise aap paper par print bhi kar sakte hain,
Pm Kisaan Ke Fayde
Frends, pm-kisaan ke fayde nimnlikhit hain,
- jo bhi vyakti pm kisaan karte hain unhe sarkar ki taraf se pratyek 4 mahine ke baad 2000 rupya sidhe bank m,en bheja jata hai jisse unhe kheti karne ke liye kharide jaane wale chijo ko kharidne men madad hoti hai….
- jo bhi vyakti pn-kisaan ke sath registerd hain we sabhi kisaan credit card ke liye bhi apply kar sakte hain,